Tuesday, May 6, 2008

PEOTRY PART-III


"KIS QADAR ZULAM DHAYA KARTAY HOU"

"Kis qadar zulam dhaya kartay hou
yah jo tum bhool jaya kartay hou"

"Kis ka ab hath rukh kar seenay par
dil ki dharkan sunaya kartay hou"

"Hum jahan chaeen peenay jatay thay
kiya waha ab bhi aaya kartay hou"

"Koun hain ab kay jiskay chahray par
apni palkoo ka saya karti hou"

"Keyo mairay dill main rukh nahi daiti
kis liey ghum uthaya karti hou"

"Phon par geet jo sunati thi
ab wo kisko sunaya karti hou"

"Aakhri khat main osnay likha tha
tum mujhain yaad aaya kartay hou"
kashi heart hacker...........................!


"DOU SHAIR"

Dost ne dil ka haal batana choor deya..
hum nay bhi gehrai mein jana choor deya.
jub os ko he doori ka ahssas nahin.
hum ne bhi ahssas delana choor deya.


"REAL SHAIR"

"Jam pi jam peenay ka kiya faida raat guzri tou subah uttar jaein gi
peeni hain tou kisi ki nigahoo main doob kar pee KHUDA ki qasum
sari umer nashay main guzar jaein gi"

"MY FAV POETRY"

"Kash main tairi in haseen aankoo ka aansoo hotta
jo girta tairi aankh say tairay hontoo ko choom kar"


"SAFAR"

"Mairi aankhoo ko intazar kay lumhat sonp kar
mairi neenadain bhi lay gaei hou tum apnay
safar kay sath"


"CHOUT"

"Chand sa chahra ujallay rukhna
mairi wafa ka khaiyal rukhna
main phir aaoo ga lout kar
chund pathar zara sunbhallay rukhna"


"SITTUM"

"Mohbat ka sittum daiy kar
sanum eijad kar dalla
jissay chaha haseeno nay
ossay barbad kar dala"


" BAY WAFA "

"Na thi jisko mairay piyaar ki qadar
itafaq say ossi ko chah rahay thay
hum"
"Osei diyay nay jalaya mairay hathoo ko
jisko hawa say bacha rahay thay hum"


"BAY WAFA"

"Hum ba wafa thay shayed isley nazroo say gir gayay

shayed tujhain tallash kisi bay wafa ki thi"


"YAAD"

"Wo piyari nigah yaad rahain gi
mil kal na milnay ki ada yaad
rahien gi"

"Mumkin hain mairay baad wo mujhain
bhool jaein, liken umer bhar ossay mairi
wafa yaad rahay gi"

No comments: