Tuesday, May 6, 2008

PEOTRY PART-II


"KATI HAIN GHUM KI RAAT BADAY EHTRAM SAY"

kaaTii hai Gam kii raat ba.De ehataraam se
aksar bujhaa liyaa hai charaaGo.n ko shaam se

raushan hai apanii bazm aur is ehatamaam se
kuchh dil bhii jal rahe hai.n charaaGo.n ke naam se

muddat hu_ii hai Khuun-e-tamannaa kiye magar
ab tak Tapak rahaa hai lahuu dil ke jaam se

subah-e-bahaar ham ko bulaatii rahii magar
ham khelate rahe kisii zulfo.n kii shaam se

har saa.Ns par hai maut kaa peharaa lagaa huaa
aahistaa ai hayaat guzar is maqaam se

kaaTii tamaam umr fareb-e-bahaar me.n
kaa.NTe sameTate rahe phuulo.n ke naam se

ye aur baat hai ke "Ali" ham na sun sake
aavaz us ne dii hai hame.n har maqaam se.


"TAIRAY SHANAY PAY KUBHI RAKH KAY YAH SAR SO JATA"

Tairay shanay pay kabhi rakh k yae sar so jatay
roz-o-shab apnay bas aisay hi basar ho jatay


khud numai ka humain shok nahin tha verna
iss tarha jaan lutatay k amar ho jatay


raigzaar-e-gam-e-jana ko basanay k liye
iss qadar ashk bahatay k behr ho jatay


jaan-e-bay faiz ko tasleem nahin tu nay kia
verna sad shok say hum taeri nazar ho jatay


tu sadaf hai humain tasleem hai yae baat mager
saath milta jo tera hum bhi guhar ho jatay


tu kabhi rab say humain mang k takta to sahi
hum teri sari duaoon ka asar ho jatay


"KARO TOU KIS LIEY AKHIR KARO MALAL USKA"

Karoo Tu Kis Liye Akhir Karo Malal Uss Ka
Usse Nahi Tu Mujhey Bhi Nahi Khayal Uss Ka

Her Ek Room Mere Wasty Bemani Hai
K Bass Chukka Hai Mere Ankhoo Main Jamal Uss Ka

Mere Wafa Nay Banaya Hai Bewafa Uss Ko
kisi Adda Main Nahi Hai Koi Kamal Uss Ka

Mere Naseeb Ki Yeh Bhi Tu Khush Naseebi Hai
K Mujh Ko Dekh Kay Sab Pochty Hai Haal Uss Ka

Yahi Dua Main Karoo Har Baras Kay Pahly Din
Mere Bager Na Guzry Koi Bhi Saal Uss Ka

Mere Urooj Ko Uss Kay Naseeb Main Likh De
Khuda-E Pak ! Mujhey Sonp De Zawal Uss Ka

Shab-E Faraq Kisi Roz Dhal Hi Jaye Gee
Khuda Se Har Ghadri Manga Karoo Wisaal Uss Ka

Khushi Kay Naam Se Anye Laga Hai Khuf Uss Ko
Dukhoo Nay Jab Se Kiya Hai Badan Nidhaal Us ka


"TAIEEN SHAIR"

"Jub tumhari aankh hou gehray samandar ki tarha
kiyo nahi lagta hou samandar deedah tar ki tarha"

"Isliey roshan kiya hain tairay chahray ka churagh
dopahar tareek hain mairay muqadar ki tarha"

"Na shunasha jiski deewarien hain or dar bhi ajnubi
wo milli mujh ko humaisha ek nayay ghar ki tarha"


"TAIRI JANIB AGOUR CHALLAY HOTTAY"

"Tairi janib agour challay hottay
hum na you darbadar howay hottay"
"Sari dunya hain mairi muthi main
or koun aaein ga ab tairay hottay"
"Or ab keyo nahi nibhatay hou tum
itnay waday nahi kiyay hottay"
"Pa liya main nay sari dunya ko
koei khawahish nahi ab hum
tairay hottay"
"Iski aankhoo main bar paein ko hain
kash hum khawab bun gayay hottay"


"YAH KUB KAHA THA NAZAROO SAY KHOOF AATA HAIN"

"Yah kub kaha tha nazaroo say khoof aata hain
mujhain tou chand sittaroo say khoof aata hain"
"Main dushmanoo kay kisi war say nahi darta hou
mujhain tou apnay hi yaroo say khoof aata hain"
"Khiza ka jubbar tou seenay par rook laitay hain
humain tou udaas baharoo say khoof aata hain"
"Millay hain dostoo baysakhiyoo say ghum itnay
mairay budan ko saharoo say khoof aata hain"
"Main taluqqaat ki khundaq say door rahta hou
mujhain tou taluqqaat ki gharoo say khoof aata
hain"


"TOU NAY DAIKHA HAIN KUBHI EK NAZAR SHAM KAY BAAD"

"Tou nay daikha hain kubhi ek nazar sham kay baad
kittnay chup chap say lagtay hain shujjar sham kay
bad"
"Itnay chup chap kay rastay bhi rahain gay la elm
choor jaein gay kisi rooz tumhara nagar sham
kay bad"
"Sham say pahlay thi wo must apni uraanoo main
jiskay hathoo main tootay bootay har sham kay
baad"
"Raat baiti tou ginnay aablay or socha hum nay
koun tha baeis aghazay safar har sham kay
baad"
"Main nay aisay hi gunah tairi judaei main kiyay
jaisay toofan main koei chooray shahar har
sham kay baad"
"Tom tou soraj ho tujhain maloom kaha raat ka dhaka
tou kisi rooz mairay ghar main uttar har sham kay
baad"
"Lout aaein na kisi rooz wo awara mizaj
khoolay rukhta hou main apnay dill kay
darwazay har sham kay baad"


"TUMHAIN JANA IJAZAT HAIN"

"Tumhain jana ijazat hain................!
kah in tareek rahoo par
thukan si khud main paoo tou
andhairoon main kubhi dil doll
jaein ,kubhi thuk si jaoo tou
mairay jaltay howay lumhoo
mairay kungal hathoo say
choora kar apnay hathoo
ko fiza ki nughmagi say
tum nayay geetoo ko
chun laina"

"Haseen palkoo ki nookoo
par nayay kuch khawab
bun laina
koei agour poch lay tou
maira tou os say zikar
mut karna
mairay jeevan ki jalti dopahar
say baygharz ho kar tum apni
chandani ratoo main jugnoo
palti rahna mairi tanhaeyoo
ki wahshatoo ki fikar mut karna
tumhain iski ijazat hain"

"Mairay sub khat jala daina
mairay tohfoo ko darya main
baha daina ,mairi har yaad ko
dill say khurchna or mitta daina
tumhain bilkul ijazat hain,
magour itni guzarish hain
agour aisa na hou tou acha
hain...kashi


"JUST A MINUTE..............!"

"Zara sa tou thahar ay dill..................!
abhi kuch kam baqi hain, abhi aangan
mujh ko mootayay kay kuch nayay
pooday laganay hain,abhi un shokh
hotoo kay kaei andaz hain jinko
mairay hontoo pay khilna hain"

"Abhi is jism nay mujh say bohat si
batien karni hain, abhi is dill kay
janay kitnay hi ghum aisay hain
jinko mujhain apnay budan main
rooh bharna hain , iskay sath janay
kitnay rastay hain akhattay jin pay
challna hain abhi kuch aisay waday
hain, k jin ko poora karany ka koei
barsoo say lumha hi nahi aaya hain
abhi wo waqt aana hain,abhi wadday
nibhanay hain"

"Abhi kuch geet aisay hain kah jinki
dhun banani hain, adhori si kisi tasveer
ki takmeel karna hain, kaei kaghaz hain
wo jin par mairay saein zarori hain,
abhi kuch batein aisi hain kah jo barsoo
say mairay zehan main thi, soch rukha tha
ossay ek din bata dou ga,,batani hain"

"Abhi kuch qissay aisay hain kah jo isko
sunanay hain gaei kohtahiya aisi hain
kah jin par mazamat hain,,ossay sub
kuch bata kar bojh is dill ka ghattana
hain, abhi kuch dair pahlay bus zara si
dair pahlay hi zara si bate par mujh say
roothi thi ,zara sa tou thahar ay dill
abhi isko mana hain
abhi isko mana hain"
kashi


"TUM MAIRI AANKH KAY TAIWAR NA BHULLA PAOO GAY"

"Tum mairi aankh kay taiwar na bhulla paoo gay
an kahi bate ko sumjho gay tou yaad aaoo ga"
"Hum nay khushyoo ki tarha dukh bhi akhatay daikhay hain
safah zeest ko paltoo gay tou yaad aaoo ga"
"Is judaei main tum under say bikhar jaoo gay
kisi mazoor ko daikhoo gay tou yaad aaoo ga"
"Isi andaz main hotti thi mukhatib mujh say
khat kisi or ko likhoo gi tou yaad aaoo ga"
"Mairi khushboo tumhain khoolay gi gullaboo ki tarha
tum agour khud say na boloo gi tou yaad aaoo ga"
"Sard ratoo kay mahaktay howay sanatoo main
jub kisi phool ko choomoo gi tou yaad aaoo ga"
"Aaj tou mefillay yaaraa par hou mughroor bohat
jub kubhi toot kay bikhroo gi tou yaad aaoo ga"
"Ab tou yah ashak main hontoo say chura laita hou
hath say khud inhain ponchoo gi tou yaad aaoo ga"
"Shall pahnaein ga koun ab december main tumhain
barishoo main kubhi beghoo gi tou yaad aaoo ga"
"Haadsay aaein gay jivan main tou tum ho kay nidhal
kisi deewar ko thamoo gi tou yaad aaoo ga"

"Is main shamil hain mairay bukhat ki tareeki bhi
tum jub seeha rung jub pahnoo gi tou yaad
aaoo ga"
kashi heart hacker....................................!










No comments: