Tuesday, May 6, 2008

POETRY PART-VII


"AAOO MILKAR SATH DOU"

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bara kathan hay rasta jo aa sakoo tu sath doo
yeh zindagee ka fasla meta sakoo tu sath doo
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
baray faraib khao gee baray sitam uthao gee
yeh umar bhar ka sath hay nebha sako tu sath doo
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
jo tum kaho yeh dil tu kya mai jan b feda karoon
jo main kahon tu ek nazar luta sakoo tu sath doo
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
main ek gareeb bay nawa main ek fakeer bay sada
mairee nazar ke eltaja jo pa sakoo tu sath doo
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
hazar emtahan yahan hazar aazmaieshain
hazar dukh hazar gum utha sakoo tu sath doo
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
yeh zindagee yaha khusee gamoo k sath hay
rula sakoo tu sath doo hansa sakoo tu sath doo


"SIRF ITNA HI KAHA HAIN PIYAAR HAIN TUM SAY"

"Sirf Itna Hi Kaha Hai, Pyaar Hai Tum se
Jazbaton Ki Koi Numayish Nahi Ki

Pyaar Ke Badle Sirf Pyaar Manga Hai
Rishte Ki To Koi Guzarish Nahin Ki

Chaho To Bhula Dena Humein Dil Se
Sada Yaad RakhneyKi Sifarish Nahin Ki

Khamoshi Se Toofan Seh Letey Hai Jo
Un Baadlon Ne Izhar Ki Baarish Nahin Ki

Tumein Hi Mana Hai Rehnuma Apna
Aur to kisi Cheez Ki Khwahish Nahin ki
Ye mere charoon taraf kis liye ujala hai
tera khiyal he ya din nikalne wala hai
yaqeen kar ke main kab ka bikhar gia hoota
tumhari yad ne aab tak mujhe sanbhala hai!!!


"WO MUJH KO CHORR JANA CHAHTA HAIN"

Woh mujh ko chorr jaana chahta hai

Magar koi bahana chahta hai

Jisse Dil ki tarhan is Dil main rakha

Woh hi ab Dil dukhana chahta hai


Woh apni hansi gharion ko deker

Khud apna gham bhulana chahta hai

Main jis ki yaad main duniya ko bhooli

Woh hi mujh ko bhulana chahta hai

Us se kya ho dard ka ehsaas

Jo mera Dil dukhana chahta hai


"KISI KI ADA PAR MARNA"

mar jaye teri saadgi pe, sawaal poochte ha
qtal kar ke mera, mujh se hi haal poochte ha

mujhe gumraah kar ke farz ke baagecho ma
khwaab ki manjilo ka wo pata poochte ha

ret saahil ki gili hi sahi kab tak rok paayegi
chand lamho ma mere safar ke nishaan doobte ha

kaha se lau tujhe is baar jo tu khoya ha
farishte bhi mujh se ab tera pata poochte hain


"MAIN HOUN HASEEN KHAWAB MOHABAT HAIN MAIRA NAME"

Main hoon haseen khawab muhabat hai mera naam
logon kay dil per aaj mera raaj yaar dekh
khushiyon ka hoon lamha gham ka azaab hoon
logon ki zindage main mera kaam kaaj dekh
ansoooho ka samander hoon pherta hoon dil say dil
ahsiq ki zindage main too gham ka hasaar dekh
ker kay mujhey hasil jo khush hai kamyaab hai
paa kay mujhe naakaam jo hai us ka zawaal dekh
heer ranjha mere janoon main to duniya se kho gaye
ab reh gai duniya main bus meri misaal dekh
main aag ki tappish hoon sholon ki hoon bauchaar
jal jaye ga deewane rukh-e-aftaab dekh
main woh saraab hoon keh jo mujh main bhatak gya
ik pal main guzrey us kay kaise mah-o-saal dekh
KHUDA nay banaya mujhe apney mehboob kay liye
insan ne jo kiya hai mera istemaal dekh
logon ne mere honey ka matlab badal diya
main ho gai badnaam aay Perverdeegar dekh


"TUMHARI YAAD KAY JUB ZUKHAM BHANAY LAGTAY HAIN"

tumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hain
kisi bahane tumhe yaad karne lagte hain
......
rah rah kar phir aai dil men yaad kisi ki raat gae tak
jab mehki aangan men apne raat ki rani raat gae tak
........
vo shararat vo adaen vo hansi yaad aagai
vo sman vo lutf aur vo chndani raat yaad aagai

sab baharen leke jab the vo nazr ke samne
zindagi ke un hasin lamhat ki yaad aagai


"FASLAY QURB KI PAHCHAN HOWA KARTI HAIN"

Faslay qurb ki pehchaan houa kerte hain
Younhi besabab log pareshan houa kerte hain
Ye haqeqat hai jahan tott ker chaha jayee
Vahan bicharnay k bhi imkaan houa kerte hain
.........
Apni aghosh me ik rose chupa lo muj ko
Ghame duniya say mairee jaan bacha lo muj ko
Tum ko day di ha isharoon mai ijazat me ne
Mangnay say na milon gar, tu chura lo muj ko
Apnay saye say bhi ub muj ko dar lagta hai
ho jo mumkin tu nigahoon mai chupa lo muj ko


"GILLAH NAHI HAY NAZARAY BI TOR DAITAY HAIN"

GiLLah nehi hay Nazarey bi tord deitey hain
Yeh dil toh dil k saharey bi tord deitey hain

Main ess liey kisi Chattaan sey nehi Ghabraya
K kashtiyaan toh kinarey bi tord deitey hain

Yaqeen ho toh Qadam sey Qadam milla kar chaloo
Qasam toh jaan sey piyarey bi tord deitey hain

Kahoo yeh doobtey sorajh sey KhushGhumaan na rehy
Nashaa toh doobtey tarey bi tord deitey hain

Sabab na Puch NAZAR dil k tuot janey ka
K log shok k marey bi tord deitey hain


"IMRAN NARMI GAZAL"

kisay perooN kay chhaloon mein chubhan mehsoos hoti hai
thakan mehsoos karney say thakan mehsoos hoti hai

mein khud ko nochta hoon tou badan faryaad karta hai
yea wehshat tou mujhey apna badan mehsoos hoti hai

wahan mati taley mein kis tarh say saans kheenchooN ga
mujhey taza fiza mein bhi ghutan mehsoos hoti hai

kabhi tou aisay lagta hai keh mein wehshat qaday mein hoon
kabhi yea sar zamein mujh ko chaman mehsoos hoti hai

agar kantey nahi hooon tou mujhey rahat nahi milti
tumhein phooloon kay bistar mein thakan mehsoos hoti hai

tumhein ab dekhta hoon tou mujhey kuch bhi nahi hota
magar seeney mein janey kiyoon jalan mehsoos hoti hai

buland o bala lagti hai kabhi yea aasman say bhi
kabhi yea chhat mujhey apna kafan mehsoos hoti hai

yea dunia pehley bhi khud mein magan mehsoos hoti thi
yea dunia aaj bhi khud mein magan mehsoos hoti hai


"TANHAI JUB JUB MAIN TAIRI YADOU SAY MILLA HOU"

Tanhai may jab jab tari yadon say mila hon
Mahsos hoa hai k tujay dekh raha hon


Asa bhi nahee hai k tujay yad karon may
Asa bhi nahee hai k tujay bhool gaya hon


Talwar pay kud may nay he sir rakh dya apna
Maloom hai muj koo k may sach bol raha hon


Iss bheer may apna nazar aahai kohee muj koo
May ghumshuda bachay kee tharan khof zada hon

Shayad ya takabur kee saza muj ko milee hia
Ubhra tha bari shan say ub doob raha hon


Aa rat mari talq zara soch k bhana
Pachan lay muj koo may Rashid Raees hon










No comments: